hum to hain maula fana-e-dard-e-ishq
ham to haiñ maulā fanā-e-dard-e-'ishq
kyā kareñge ham davā-e-dard-e-'ishq
chain din ko hai na rātoñ ko qarār
kyā balā hai ye balā-e-dard-e-'ishq
aur dard-e-lā-davā koī na thā
kaash vo miltā bajā-e-dard-e-'ishq
thā kahāñ farhād-o-majnūñ kā patā
jab hue the ham fidā-e-dard-e-'ishaq
us dukāñ meñ 'arsh' pahuñche bhī to kab
bik chukī thī jab davā-e-dard-e-'ishq
hum to hain maula fana-e-dard-e-'ishq
kya karenge hum dawa-e-dard-e-'ishq
chain din ko hai na raaton ko qarar
kya bala hai ye bala-e-dard-e-'ishq
aur dard-e-la-dawa koi na tha
kash wo milta baja-e-dard-e-'ishq
tha kahan farhad-o-majnun ka pata
jab hue the hum fida-e-dard-e-'ishaq
us dukan mein 'arsh' pahunche bhi to kab
bik chuki thi jab dawa-e-dard-e-'ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.