Sufinama

hum tujhse kis hawas kī falak justujū kareñ

Khwaja Meer Dard

hum tujhse kis hawas kī falak justujū kareñ

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    ham tujh se kis havas falak justujū kareñ

    dil nahīñ rahā hai ki kuchh aarzū kareñ

    miT jaa.eñ ek aan meñ kasrat-numā.iyāñ

    ham aa.ine ke sāmne jab aa ke kareñ

    tar-dāmanī pe shaiḳh hamārī na jā.iyo

    dāman nichoḌ deñ to farishte vuzū kareñ

    sar-tā-qadam zabān haiñ juuñ sham.a go ki ham

    par ye kahāñ majāl jo kuchh guftugū kareñ

    har-chand aa.ina huuñ par itnā huuñ nā-qubūl

    muñh pher le vo jis ke mujhe rū-ba-rū kareñ

    ne gul ko hai sabāt na ham ko hai e'tibār

    kis baat par chaman havas-e-rañg-o-bū kareñ

    hai apnī ye salāh ki sab zāhidān-e-shahr

    ai 'dard' aa ke bai.at-e-dast-e-subū kareñ

    hum tujh se kis hawas falak justujū kareñ

    dil nahīñ rahā hai ki kuchh aarzū kareñ

    miT jaeñ ek aan meñ kasrat-numāiyāñ

    hum aaine ke sāmne jab aa ke kareñ

    tar-dāmanī pe shaiḳh hamārī na jāiyo

    dāman nichoḌ deñ to farishte wuzū kareñ

    sar-tā-qadam zabān haiñ juñ shama go ki hum

    par ye kahāñ majāl jo kuchh guftugū kareñ

    har-chand aaina huñ par itnā huñ nā-qubūl

    muñh pher le wo jis ke mujhe rū-ba-rū kareñ

    ne gul ko hai sabāt na hum ko hai e'tibār

    kis baat par chaman hawas-e-rañg-o-bū kareñ

    hai apnī ye salāh ki sab zāhidān-e-shahr

    ai 'dard' aa ke baiat-e-dast-e-subū kareñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now