Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

haqiqat aur hi kuchh hai magar hum kya samajhte hain

Pir Naseeruddin Naseer

haqiqat aur hi kuchh hai magar hum kya samajhte hain

Pir Naseeruddin Naseer

MORE BYPir Naseeruddin Naseer

    haqīqat aur kuchh hai magar ham kyā samajhte haiñ

    jo apnā ho nahīñ saktā use apnā samajhte haiñ

    ye dars-e-avvalīñ mujh ko milā mere buzurgoñ se

    bahut chhoTe haiñ vo auroñ ko jo chhoTā samajhte haiñ

    na jaane kyuuñ hamārī un ik pal bhī nahīñ bantī

    jo apnā qibla-e-dil daulat-e-duniyā samajhte haiñ

    kHudā-o-mustafā.ī se haT ke vo haiñ saḳht dhoke meñ

    jo apnī zaat ko tanqīd se baalā samajhte haiñ

    bure achchhoñ ko bhī achchhā nahīñ gardānte lekin

    jo achchhe haiñ bure logoñ ko bhī achchhā samajhte haiñ

    na pūchho kuchh ki kyā de diyā hai dene vaale ne

    baḌā ho laakh koī ham kisī ko kyā samajhte haiñ

    ba-zāhir ḳhush the jo kal tak hamārī gul-fishānī par

    vo apne bhī hameñ ab raah kāñTā samajhte haiñ

    qiyāmat sar pe jo TuuTe musībat dil pe jo aa.e

    haqīqat meñ use ham marzī-e-maulā samajhte haiñ

    lagā tohmat-e-bāda-kashī un par bhī vā'iz ne

    'nasīr' un nazar ko jo mai-o-mīnā samajhte haiñ

    haqiqat aur hi kuchh hai magar hum kya samajhte hain

    jo apna ho nahin sakta use apna samajhte hain

    ye dars-e-awwalin mujh ko mila mere buzurgon se

    bahut chhoTe hain wo auron ko jo chhoTa samajhte hain

    na jaane kyun hamari un ki ek pal bhi nahin banti

    jo apna qibla-e-dil daulat-e-duniya samajhte hain

    kHuda-o-mustafai se haT ke wo hain saKHt dhoke mein

    jo apni zat ko tanqid se baala samajhte hain

    bure achchhon ko bhi achchha nahin gardante lekin

    jo achchhe hain bure logon ko bhi achchha samajhte hain

    na puchho kuchh ki kya de diya hai dene wale ne

    baDa ho lakh koi hum kisi ko kya samajhte hain

    ba-zahir KHush the jo kal tak hamari gul-fishani par

    wo apne bhi hamein ab rah ka kanTa samajhte hain

    qiyamat sar pe jo TuTe musibat dil pe jo aae

    haqiqat mein use hum marzi-e-maula samajhte hain

    laga di tohmat-e-baada-kashi un par bhi wa'iz ne

    'nasir' un ki nazar ko jo mai-o-mina samajhte hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Pir Naseeruddin Naseer

    Pir Naseeruddin Naseer

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now