har qadam dūrī-e-manzil hai numāyāñ mujhse
har qadam dūrī-e-manzil hai numāyāñ mujh se
merī raftār se bhāge hai bayābāñ mujh se
dars-e-unvān-e-tamāshā ba-taġhāful ḳhush-tar
hai nigah rishta-e-shīrāza-e-mizhgāñ mujh se
vahshat-e-ātish-e-dil se shab-e-tanhā.ī meñ
sūrat-e-dūd rahā saaya gurezāñ mujh se
ġham-e-ushshāq na ho sādgī-āmoz-e-butāñ
kis qadar ḳhāna-e-ā.īna hai vīrāñ mujh se
asar-e-ābla se jāda-e-sahrā-e-junūñ
sūrat-e-rishta-e-gauhar hai charāġhāñ mujh se
be-ḳhudī bistar-e-tamhīd-e-farāġhat ho jo
pur hai saa.e kī tarah merā shabistāñ mujh se
shauq-e-dīdār meñ gar tū mujhe gardan maare
ho nigah misl-e-gul-e-shamā pareshāñ mujh se
bekasī-hā-e-shab-e-hijr kī vahshat hai hai
saaya ḳhurshīd-e-qayāmat meñ hai pinhāñ mujh se
gardish-e-sāġhar-e-sad-jalva-e-rañgīñ tujh se
ā.ina-dārī-e-yak-dīda-e-hairāñ mujh se
nigah-e-garm se ek aag Tapaktī hai 'asad'
hai charāġhāñ ḳhas-o-ḳhāshāk-e-gulistāñ mujh se
bastan-e-ahd-e-mohabbat hama nā-dānī thā
chashm-e-nakushūda rahā uqda-e-paimāñ mujh se
ātish-afrozi-e-yak-shola-e-īmā tujh se
chashmak-ārā.i-e-sad-shahr charāġhāñ mujh se
har qadam dūrī-e-manzil hai numāyāñ mujh se
merī raftār se bhāge hai bayābāñ mujh se
dars-e-unwān-e-tamāshā ba-taġhāful ḳhush-tar
hai nigah rishta-e-shīrāza-e-mizhgāñ mujh se
wahshat-e-ātish-e-dil se shab-e-tanhāī meñ
sūrat-e-dūd rahā saya gurezāñ mujh se
ġham-e-ushshāq na ho sādgī-āmoz-e-butāñ
kis qadar ḳhāna-e-āīna hai wīrāñ mujh se
asar-e-ābla se jāda-e-sahrā-e-junūñ
sūrat-e-rishta-e-gauhar hai charāġhāñ mujh se
be-ḳhudī bistar-e-tamhīd-e-farāġhat ho jo
pur hai sae kī tarah merā shabistāñ mujh se
shauq-e-dīdār meñ gar tū mujhe gardan mare
ho nigah misl-e-gul-e-shamā pareshāñ mujh se
bekasī-hā-e-shab-e-hijr kī wahshat hai hai
saya ḳhurshīd-e-qayāmat meñ hai pinhāñ mujh se
gardish-e-sāġhar-e-sad-jalwa-e-rañgīñ tujh se
āina-dārī-e-yak-dīda-e-hairāñ mujh se
nigah-e-garm se ek aag Tapaktī hai 'asad'
hai charāġhāñ ḳhas-o-ḳhāshāk-e-gulistāñ mujh se
bastan-e-ahd-e-mohabbat hama nā-dānī thā
chashm-e-nakushūda rahā uqda-e-paimāñ mujh se
ātish-afrozi-e-yak-shola-e-īmā tujh se
chashmak-ārāi-e-sad-shahr charāġhāñ mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.