Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala

Hasan Raza Barelvi

husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala

Hasan Raza Barelvi

MORE BYHasan Raza Barelvi

    husn jab maqtal jānib teġh-e-burrāñ le chalā

    'ishq apne mujrmoñ ko pā-ba-jaulāñ le chalā

    chhuT gayā dāman kaleja thaam kar ham rah ga.e

    le chalā dil chhīn kar vo dushman-e-jāñ le chalā

    ārzū-e-dīd-e-jānāñ bazm meñ laa.ī mujhe

    bazm se maiñ ārzū-e-dīd-e-jānāñ le chalā

    be-muravvat nāvak-afgan āfrīñ sad āfrīñ

    dil dil zaḳhmī kiyā paikāñ paikāñ le chalā

    kū-e-jānāñ se 'hasan' dil ko manā kar laa.e the

    dil hameñ samjhā-bujhā kar kū-e-jānāñ le chalā

    husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala

    'ishq apne mujrmon ko pa-ba-jaulan le chala

    chhuT gaya daman kaleja tham kar hum rah gae

    le chala dil chhin kar wo dushman-e-jaan le chala

    aarzu-e-did-e-jaanan bazm mein lai mujhe

    bazm se main aarzu-e-did-e-jaanan le chala

    be-murawwat nawak-afgan aafrin sad aafrin

    dil ka dil zaKHmi kiya paikan ka paikan le chala

    ku-e-jaanan se 'hasan' dil ko mana kar lae the

    dil hamein samjha-bujha kar ku-e-jaanan le chala

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Haji Mehboob Ali

    Haji Mehboob Ali

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now