Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hawas ko hai nashāt-e-kār kyā kyā

Mirza Ghalib

hawas ko hai nashāt-e-kār kyā kyā

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    havas ko hai nashāt-e-kār kyā kyā

    na ho marnā to jiine mazā kyā

    tajāhul-peshgī se mudda.ā kyā

    kahāñ tak ai sarāpā naaz kyā kyā

    navāzish-hā-e-bejā dekhtā huuñ

    shikāyat-hā-e-rañgīñ gila kyā

    nigāh-e-be-mahābā chāhtā huuñ

    taġhāful-hā-e-tamkīñ-āzmā kyā

    faroġh-e-shola-e-ḳhas yak-nafas hai

    havas ko pās-e-nāmūs-e-vafā kyā

    nafas mauj-e-muhīt-e-be-ḳhudī hai

    taġhāful-hā-e-sāqī gila kyā

    dimāġh-e-itr-e-pairāhan nahīñ hai

    ġham-e-āvārgī-hā-e-sabā kyā

    dil-e-har-qatra hai sāz-e-anal-bahar

    ham us ke haiñ hamārā pūchhnā kyā

    muhābā kyā hai maiñ zāmin idhar dekh

    shahīdān-e-nigah ḳhūñ-bahā kyā

    sun ai ġhārat-gar-e-jins-e-vafā sun

    shikast-e-shīsha-e-dil sadā kyā

    kiyā kis ne jigar-dārī da.avā

    shakeb-e-ḳhatir-e-āshiq bhalā kyā

    ye qātil vāda-e-sabr-āzmā kyuuñ

    ye kāfir fitna-e-tāqat-rubā kyā

    balā-e-jāñ hai 'ġhālib' us har baat

    ibārat kyā ishārat kyā adā kyā

    hawas ko hai nashāt-e-kār kyā kyā

    na ho marnā to jine mazā kyā

    tajāhul-peshgī se muddaā kyā

    kahāñ tak ai sarāpā naz kyā kyā

    nawāzish-hā-e-bejā dekhtā huñ

    shikāyat-hā-e-rañgīñ gila kyā

    nigāh-e-be-mahābā chāhtā huñ

    taġhāful-hā-e-tamkīñ-āzmā kyā

    faroġh-e-shola-e-ḳhas yak-nafas hai

    hawas ko pās-e-nāmūs-e-wafā kyā

    nafas mauj-e-muhīt-e-be-ḳhudī hai

    taġhāful-hā-e-sāqī gila kyā

    dimāġh-e-itr-e-pairāhan nahīñ hai

    ġham-e-āwārgī-hā-e-sabā kyā

    dil-e-har-qatra hai sāz-e-anal-bahar

    hum us ke haiñ hamārā pūchhnā kyā

    muhābā kyā hai maiñ zāmin idhar dekh

    shahīdān-e-nigah ḳhūñ-bahā kyā

    sun ai ġhārat-gar-e-jins-e-wafā sun

    shikast-e-shīsha-e-dil sadā kyā

    kiyā kis ne jigar-dārī dawā

    shakeb-e-ḳhatir-e-āshiq bhalā kyā

    ye qātil wāda-e-sabr-āzmā kyuñ

    ye kāfir fitna-e-tāqat-rubā kyā

    balā-e-jāñ hai 'ġhālib' us har baat

    ibārat kyā ishārat kyā adā kyā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now