Sufinama

ḳhirad ne mujhko atā kī nazar hakīmāna

Allama Iqbal

ḳhirad ne mujhko atā kī nazar hakīmāna

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    ḳhirad ne mujh ko atā nazar hakīmāna

    sikhā.ī ishq ne mujh ko hadīs-e-rindāna

    na baada hai na surāhī na daur-e-paimāna

    faqat nigāh se rañgīñ hai bazm-e-jānāna

    mirī navā-e-pareshāñ ko shā.irī na samajh

    ki maiñ huuñ mahram-e-rāz-e-durūn-e-mai-ḳhāna

    kalī ko dekh ki hai tishna-e-nasīm-e-sahar

    isī meñ hai mire dil tamām afsāna

    koī batā.e mujhe ye ġhayāb hai ki huzūr

    sab āshnā haiñ yahāñ ek maiñ huuñ begāna

    farañg meñ koī din aur bhī Thahar jā.ūñ

    mire junūñ ko sambhāle agar ye vīrāna

    maqām-e-aql se āsāñ guzar gayā 'iqbāl'

    maqām-e-shauq meñ khoyā gayā vo farzāna

    ḳhirad ne mujh ko atā nazar hakīmāna

    sikhāī ishq ne mujh ko hadīs-e-rindāna

    na baada hai na surāhī na daur-e-paimāna

    faqat nigāh se rañgīñ hai bazm-e-jānāna

    mirī nawā-e-pareshāñ ko shāirī na samajh

    ki maiñ huñ mahram-e-rāz-e-durūn-e-mai-ḳhāna

    kalī ko dekh ki hai tishna-e-nasīm-e-sahar

    isī meñ hai mere dil tamām afsāna

    koī batāe mujhe ye ġhayāb hai ki huzūr

    sab āshnā haiñ yahāñ ek maiñ huñ begāna

    farañg meñ koī din aur bhī Thahar jāūñ

    mere junūñ ko sambhāle agar ye wīrāna

    maqām-e-aql se āsāñ guzar gayā 'iqbāl'

    maqām-e-shauq meñ khoyā gayā wo farzāna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now