Sufinama

huī tāḳhīr to kuchh bāis-e-tāḳhīr bhī thā

Mirza Ghalib

huī tāḳhīr to kuchh bāis-e-tāḳhīr bhī thā

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    huī tāḳhīr to kuchh bā.is-e-tāḳhīr bhī thā

    aap aate the magar koī ināñ-gīr bhī thā

    tum se bejā hai mujhe apnī tabāhī gila

    us meñ kuchh shā.iba-e-ḳhūbi-e-taqdīr bhī thā

    mujhe bhuul gayā ho to patā batlā duuñ

    kabhī fitrāk meñ tere koī naḳhchīr bhī thā

    qaid meñ hai tire vahshī ko vahī zulf yaad

    haañ kuchh ik ranj-e-girāñ-bāri-e-zanjīr bhī thā

    bijlī ik kauñd ga.ī āñkhoñ ke aage to kyā

    baat karte ki maiñ lab-tishna-e-taqrīr bhī thā

    yūsuf us ko kahūñ aur kuchh na kahe ḳhair huī

    gar bigaḌ baiThe to maiñ lā.iq-e-tāzīr bhī thā

    dekh kar ġhair ko ho kyuuñ na kalejā ThanDā

    naala kartā thā vale tālib-e-tāsīr bhī thā

    peshe meñ aib nahīñ rakhiye na farhād ko naam

    ham āshufta-saroñ meñ vo javāñ-mīr bhī thā

    ham the marne ko khaḌe paas na aayā na sahī

    āḳhir us shoḳh ke tarkash meñ koī tiir bhī thā

    pakḌe jaate haiñ farishtoñ ke likhe par nā-haq

    aadmī koī hamārā dam-e-tahrīr bhī thā

    reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'

    kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā

    huī tāḳhīr to kuchh bāis-e-tāḳhīr bhī thā

    aap aate the magar koī ināñ-gīr bhī thā

    tum se bejā hai mujhe apnī tabāhī gila

    us meñ kuchh shāiba-e-ḳhūbi-e-taqdīr bhī thā

    mujhe bhul gayā ho to patā batlā duñ

    kabhī fitrāk meñ tere koī naḳhchīr bhī thā

    qaid meñ hai tere wahshī ko wahī zulf yaad

    hañ kuchh ek ranj-e-girāñ-bāri-e-zanjīr bhī thā

    bijlī ek kauñd gaī āñkhoñ ke aage to kyā

    baat karte ki maiñ lab-tishna-e-taqrīr bhī thā

    yūsuf us ko kahūñ aur kuchh na kahe ḳhair huī

    gar bigaḌ baiThe to maiñ lāiq-e-tāzīr bhī thā

    dekh kar ġhair ko ho kyuñ na kalejā ThanDā

    nala kartā thā wale tālib-e-tāsīr bhī thā

    peshe meñ aib nahīñ rakhiye na farhād ko nam

    hum āshufta-saroñ meñ wo jawāñ-mīr bhī thā

    hum the marne ko khaḌe pas na aayā na sahī

    āḳhir us shoḳh ke tarkash meñ koī tir bhī thā

    pakḌe jate haiñ farishtoñ ke likhe par nā-haq

    aadmī koī hamārā dam-e-tahrīr bhī thā

    reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'

    kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now