kHush-rang-o-sehar-kar nazzaron ko kya hua
kHush-rañg-o-sehar-kār nazzāroñ ko kyā huā
allāh is chaman kī bahāroñ ko kyā huā
raushan thiiñ jin se bazm-e-tasavvur kī ḳhalvateñ
un rashk-e-mehr-o-māh sitāroñ ko kyā huā
sāhil ko pā sakī na kabhī kashtī-e-hayāt
dariyā-e-ārzū ke kināroñ ko kyā huā
apne parā.e ho ga.e qismat ke saath saath
majbūr zindagī ke sahāroñ ko kyā huā
naġhma ba-lab huuñ aur na naala ba-lab huuñ maiñ
sāz-e-junūn-o-ishq ke tāroñ ko kyā huā
labhā-e-lāla-gūñ haiñ aur ik talḳhī-e-itāb
mīThe tabassumoñ kī phuvāroñ ko kyā huā
muddat se gulistāñ hai ba-rañg-e-rukH-e-marīz
'altāf' surḳh-surḳh bahāroñ ko kyā huā
kHush-rang-o-sehar-kar nazzaron ko kya hua
allah is chaman ki bahaaron ko kya hua
raushan thin jin se bazm-e-tasawwur ki KHalwaten
un rashk-e-mehr-o-mah sitaron ko kya hua
sahil ko pa saki na kabhi kashti-e-hayat
dariya-e-arzu ke kinaron ko kya hua
apne parae ho gae qismat ke sath sath
majbur zindagi ke sahaaron ko kya hua
naghma ba-lab hun aur na nala ba-lab hun main
saz-e-junun-o-ishq ke taron ko kya hua
labha-e-lala-gun hain aur ek talKHi-e-itab
miThe tabassumon ki phuwaron ko kya hua
muddat se gulistan hai ba-rang-e-rukH-e-mariz
'altaf' surKH-surKH bahaaron ko kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.