Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā hai

Mirza Ghalib

husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā hai

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā hai

    us se merā mah-e-ḳhurshīd-jamāl achchhā hai

    bosa dete nahīñ aur dil pe hai har lahza nigāh

    meñ kahte haiñ ki muft aa.e to maal achchhā hai

    aur bāzār se le aa.e agar TuuT gayā

    sāġhar-e-jam se mirā jām-e-sifāl achchhā hai

    be-talab deñ to mazā us meñ sivā miltā hai

    vo gadā jis ko na ho ḳhū-e-savāl achchhā hai

    un ke dekhe se jo aa jaatī hai muñh par raunaq

    vo samajhte haiñ ki bīmār haal achchhā hai

    dekhiye paate haiñ ushshāq butoñ se kyā faiz

    ik barhaman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai

    ham-suḳhan tesha ne farhād ko shīrīñ se kiyā

    jis tarah ki kisī meñ ho kamāl achchhā hai

    qatra dariyā meñ jo mil jaa.e to dariyā ho jaa.e

    kaam achchhā hai vo jis ki ma.aal achchhā hai

    ḳhizr-sultāñ ko rakhe ḳhāliq-e-akbar sarsabz

    shaah ke baaġh meñ ye taaza nihāl achchhā hai

    ham ko ma.alūm hai jannat haqīqat lekin

    dil ke ḳhush rakhne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai

    husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā hai

    us se merā mah-e-ḳhurshīd-jamāl achchhā hai

    bosa dete nahīñ aur dil pe hai har lahza nigāh

    meñ kahte haiñ ki muft aae to mal achchhā hai

    aur bāzār se le aae agar TuT gayā

    sāġhar-e-jam se mirā jām-e-sifāl achchhā hai

    be-talab deñ to mazā us meñ siwā miltā hai

    wo gadā jis ko na ho ḳhū-e-sawāl achchhā hai

    un ke dekhe se jo aa jatī hai muñh par raunaq

    wo samajhte haiñ ki bīmār haal achchhā hai

    dekhiye pate haiñ ushshāq butoñ se kyā faiz

    ek barhaman ne kahā hai ki ye sal achchhā hai

    ham-suḳhan tesha ne farhād ko shīrīñ se kiyā

    jis tarah ki kisī meñ ho kamāl achchhā hai

    qatra dariyā meñ jo mil jae to dariyā ho jae

    kaam achchhā hai wo jis ki maal achchhā hai

    ḳhizr-sultāñ ko rakhe ḳhāliq-e-akbar sarsabz

    shah ke baġh meñ ye taza nihāl achchhā hai

    hum ko malūm hai jannat haqīqat lekin

    dil ke ḳhush rakhne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now