Sufinama

husn-e-mutlaq ka azal ke din se main diwana tha

Ameer Minai

husn-e-mutlaq ka azal ke din se main diwana tha

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    husn-e-mutlaq azal ke din se maiñ dīvāna thā

    lā-makāñ kahte haiñ jis ko vo mirā kāshāna thā

    be-ta.alluq kyā hameñ us ke tasavvur ne kiyā

    jab jhukāyā sar-garebāñ apnā ḳhalvat-ḳhāna thā

    bāġh-e-a.alam tamāshā bā.is-e-ġhaflat huā

    dekhnā āñkhoñ kānoñ ke liye afsāna thā

    shukr sad shukr is hasīñ ke nuur se raushan hai dil

    sham.a-e-ruḳh par jis ke jibraīl-e-amīñ parvānā thā

    is qadar us ke tasavvur ne satāyā hai mujhe

    shu.bha hotā hai ki hastī meñ kabhī thā na thā

    kyā huā inkār gar isrār muusā par huā

    ye kamāl-e-shauq thā vo nāz-e-ma.ashūqāna thā

    gul sarāpā gosh bante kyuuñ na sunñe ke liye

    chahchahe bulbul ke gulshan meñ tirā afsāna thā

    daar par chaḌh kar anal-haq jo kahā mansūr ne

    vo bhī ik terā karishma himmat-e-mardāna thā

    ham ġhalat-fahmī se samjhe qatl karne ko itaab

    aur vahāñ ik chheḌ thī ik nāz-e-ma.ashūqāna thā

    sun liye do harf jis ne ho gayā sarmast-e-ishq

    chashm-e-afsūñ-sāz afsūñ mirā afsāna thā

    va.az majlis meñ bhī aa.e to yuuñ mastān-e-ishq

    mai botal thī baġhal meñ haath meñ paimāna thā

    jamghaTe lailā-vashoñ ke dekhne se shahar meñ

    ke jañgal meñ basā majnūñ baḌā dīvāna thā

    vasl hotā kis tarah ḳhalvat kahāñ thī raat ko

    phuul the nargis ke rakkhe sham.a thī parvāna thā

    mazra'-e-a.alam meñ mujh soḳhta-qismat kahāñ

    jal gayā qismat merī khet meñ jo daana thā

    dair tahqīr kar itnī na ai shaiḳh-e-haram

    aaj ka.aba ban gayā kal tak yahī but-ḳhānā thā

    aazmā dekhā use sau baar ham ne ai 'amīr'

    āshnā se āshnā begāne se begāna thā

    husn-e-mutlaq ka azal ke din se main diwana tha

    la-makan kahte hain jis ko wo mera kashana tha

    be-talluq kya hamein us ke tasawwur ne kiya

    jab jhukaya sar-gareban apna KHalwat-KHana tha

    bagh-e-alam ka tamasha bais-e-ghaflat hua

    dekhna aankhon ka kanon ke liye afsana tha

    shukr sad shukr is hasin ke nur se raushan hai dil

    shama-e-ruKH par jis ke jibrail-e-amin parwana tha

    is qadar us ke tasawwur ne sataya hai mujhe

    shubha hota hai ki hasti mein kabhi tha ya na tha

    kya hua inkar gar israr musa par hua

    ye kamal-e-shauq tha wo naz-e-mashuqana tha

    gul sarapa gosh bante kyun na sunne ke liye

    chahchahe bulbul ke gulshan mein tera afsana tha

    dar par chaDh kar anal-haq jo kaha mansur ne

    wo bhi ek tera karishma himmat-e-mardana tha

    hum ghalat-fahmi se samjhe qatl karne ko itab

    aur wahan ek chheD thi ek naz-e-mashuqana tha

    sun liye do harf jis ne ho gaya sarmast-e-ishq

    chashm-e-afsun-saz ka afsun mera afsana tha

    waz ki majlis mein bhi aae to yun mastan-e-ishq

    mai ki botal thi baghal mein hath mein paimana tha

    jamghaTe laila-washon ke dekhne se shahar mein

    ja ke jangal mein basa majnun baDa diwana tha

    wasl hota kis tarah KHalwat kahan thi raat ko

    phul the nargis ke rakkhe shama thi parwana tha

    mazra'-e-alam mein mujh sa soKHta-qismat kahan

    jal gaya qismat ka meri khet mein jo dana tha

    dair ki tahqir kar itni na ai shaiKH-e-haram

    aaj kaba ban gaya kal tak yahi but-KHana tha

    aazma dekha use sau bar hum ne ai 'amir'

    aashna se aashna begane se begana tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now