husn ġhamze kī kashākash se chhuTā mere baad
husn ġhamze kī kashākash se chhuTā mere ba.ad
baare ārām se haiñ ahl-e-jafā mere ba.ad
mansab-e-sheftagī ke koī qābil na rahā
huī māzūli-e-andāz-o-adā mere ba.ad
sham.a bujhtī hai to us meñ se dhuāñ uThtā hai
sho.ala-e-ishq siyah-posh huā mere ba.ad
ḳhuuñ hai dil ḳhaak meñ ahvāl-e-butāñ par ya.anī
un ke nāḳhun hue mohatāj-e-hinā mere ba.ad
dar-ḳhur-e-arz nahīñ jauhar-e-bedād ko jā
nigah-e-nāz hai surme se ḳhafā mere ba.ad
hai junūñ ahl-e-junūñ ke liye āġhosh-e-vidā.a
chaak hotā hai garebāñ se judā mere ba.ad
kaun hotā hai harīf-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq
hai mukarrar lab-e-sāqī pe salā mere ba.ad
ġham se martā huuñ ki itnā nahīñ duniyā meñ koī
ki kare tāzīyat-e-mehr-o-vafā mere ba.ad
aa.e hai bekasī-e-ishq pe ronā 'ġhālib'
kis ke ghar jā.egā sailāb-e-balā mere ba.ad
thī nigah merī nihāñ-ḳhāna-e-dil kī naqqāb
be-ḳhatar jiite haiñ arbāb-e-riyā mere ba.ad
thā maiñ guldasta-e-ahbāb kī bandish kī giyāh
mutafarriq hue mere rufaqā mere ba.ad
husn ġhamze kī kashākash se chhuTā mere baad
bare ārām se haiñ ahl-e-jafā mere baad
mansab-e-sheftagī ke koī qābil na rahā
huī māzūli-e-andāz-o-adā mere baad
shama bujhtī hai to us meñ se dhuāñ uThtā hai
shoala-e-ishq siyah-posh huā mere baad
ḳhuñ hai dil ḳhak meñ ahwāl-e-butāñ par yanī
un ke nāḳhun hue mohatāj-e-hinā mere baad
dar-ḳhur-e-arz nahīñ jauhar-e-bedād ko jā
nigah-e-nāz hai surme se ḳhafā mere baad
hai junūñ ahl-e-junūñ ke liye āġhosh-e-widāa
chaak hotā hai garebāñ se judā mere baad
kaun hotā hai harīf-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq
hai mukarrar lab-e-sāqī pe salā mere baad
ġham se martā huñ ki itnā nahīñ duniyā meñ koī
ki kare tāzīyat-e-mehr-o-wafā mere baad
aae hai bekasī-e-ishq pe ronā 'ġhālib'
kis ke ghar jāegā sailāb-e-balā mere baad
thī nigah merī nihāñ-ḳhāna-e-dil kī naqqāb
be-ḳhatar jite haiñ arbāb-e-riyā mere baad
thā maiñ guldasta-e-ahbāb kī bandish kī giyāh
mutafarriq hue mere rufaqā mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.