nahin mumkin har ek ke dil mein naqsh-e-yar ho paida
nahīñ mumkin har ik ke dil meñ naqsh-e-yār ho paidā
agar sar daar par rakkho to phir sardār ho paidā
agar dil meñ kisī ke yaañ jamāl-e-yār ho paidā
lahad meñ bhī yaqīñ hai ban ke yaar aġhyār ho paidā
marīz-e-'ishq kī sehat jahāñ meñ ġhair mumkin hai
agar ik dard kam ho dūsrā āzād ho paidā
jo insāñ kī haqīqat hai vo kab khultī hai duniyā par
ik adnā qatra-āvar gauhar-e-shahsavār ho paidā
maiñ vo sarsabz-e-ulfat huuñ ki baa'd marg 'ulvī'
gyāh-e-sabz ban kar har kafan kā taar ho paidā
nahin mumkin har ek ke dil mein naqsh-e-yar ho paida
agar sar dar par rakkho to phir sardar ho paida
agar dil mein kisi ke yan jamal-e-yar ho paida
lahad mein bhi yaqin hai ban ke yar aghyar ho paida
mariz-e-'ishq ki sehat jahan mein ghair mumkin hai
agar ek dard kam ho dusra aazad ho paida
jo insan ki haqiqat hai wo kab khulti hai duniya par
ek adna qatra-awar gauhar-e-shahsawar ho paida
main wo sarsabz-e-ulfat hun ki ba'd marg 'ulwi'
gyah-e-sabz ban kar har kafan ka tar ho paida
- Book : KHumkhana-e-Azli (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.