sarapa naqsha-e-dildar hun main
sarāpā naqsha-e-dildār huuñ maiñ
ġhalat hai balki 'ain-e-yār huuñ maiñ
azal ke roz jo khiñchī ga.ī thī
usī tanvīr kī tasvīr huuñ maiñ
tufail-e-hazrat-e-sardār mirzā
mai-tauhīd se sarshār huuñ maiñ
mujhī ko dekh lo ai ahl-e-mahfil
sarāpā naqsha-e-dildār huuñ maiñ
sarapa naqsha-e-dildar hun main
ghalat hai balki 'ain-e-yar hun main
azal ke roz jo khinchi gai thi
usi tanwir ki taswir hun main
tufail-e-hazrat-e-sardar mirza
mai-tauhid se sarshaar hun main
mujhi ko dekh lo ai ahl-e-mahfil
sarapa naqsha-e-dildar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.