lagi aag dil mein jigar jal gaya
lagī aag dil meñ jigar jal gayā
ġhazab se kidhar kā kidhar jal gayā
kamar bāñdhte hī rah-e-ishq meñ
vo jo kuchh thā zād-e-safar jal gayā
uThā dil se jab shola-e-hubb-e-zāt
gul-o-ḳhār aib-o-hunar jal gayā
khulī aañkh mast-e-mai-e-ishq kī
paḌī jis ke uupar nazar jal gayā
kisī ko to lag jaatī 'ulvī' kī aag
huā raakh hai hai asar jal gayā
lagi aag dil mein jigar jal gaya
ghazab se kidhar ka kidhar jal gaya
kamar bandhte hi rah-e-ishq mein
wo jo kuchh tha zad-e-safar jal gaya
uTha dil se jab shola-e-hubb-e-zat
gul-o-KHar aib-o-hunar jal gaya
khuli aankh mast-e-mai-e-ishq ki
paDi jis ke upar nazar jal gaya
kisi ko to lag jati 'ulwi' ki aag
hua rakh hai hai asar jal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.