inhi KHush-gumaniyon mein kahin jaan se bhi na jao
inhī ḳhush-gumāniyoñ meñ kahīñ jaañ se bhī na jaao
vo jo chāragar nahīñ hai use zaḳhm kyuuñ dikhāo
ye udāsiyoñ ke mausam yūñhī rā.egāñ na jaa.eñ
kisī yaad ko pukāro kisī dard ko jagāo
vo kahāniyāñ adhūrī jo na ho sakeñgī puurī
unheñ maiñ bhī kyuuñ sunā.ūñ unheñ tum bhī kyuuñ sunāo
ye judā.iyoñ ke raste baḌī duur tak ga.e haiñ
jo gayā vo phir na aayā mirī baat maan jaao
kisī be-vafā kī ḳhātir ye junūñ 'farāz' kab tak
jo tumheñ bhalā chukā hai use tum bhī bhuul jaao
inhi KHush-gumaniyon mein kahin jaan se bhi na jao
wo jo chaaragar nahin hai use zaKHm kyun dikhao
ye udasiyon ke mausam yunhi raegan na jaen
kisi yaad ko pukaro kisi dard ko jagao
wo kahaniyan adhuri jo na ho sakengi puri
unhen main bhi kyun sunaun unhen tum bhi kyun sunao
ye judaiyon ke raste baDi dur tak gae hain
jo gaya wo phir na aaya meri baat man jao
kisi be-wafa ki KHatir ye junun 'faraaz' kab tak
jo tumhein bhala chuka hai use tum bhi bhul jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.