Sufinama

is karam ka karun shukr kaise ada jo karam mujh pe mere nabi kar diya

Abdul Sattar Niazi

is karam ka karun shukr kaise ada jo karam mujh pe mere nabi kar diya

Abdul Sattar Niazi

MORE BYAbdul Sattar Niazi

    is karam karūñ shukr kaise adā jo karam mujh pe mere nabī kar diyā

    maiñ sajātā thā sarkār mahfileñ mujh ko har ġham se rab ne barī kar diyā

    zikr-e-sarkār haiñ baḌī barkateñ mil ga.iiñ rāhateñ azmateñ rif.ateñ

    maiñ gunahgār thā be-amal thā magar mustafā ne mujhe jannatī kar diyā

    lamha-lamha hai mujh par nabī 'atā dosto aur māñgūñ maiñ maulā se kyā

    kyā ye kam hai ki mere ḳhudā ne mujhe apne mahbūb ummatī kar diyā

    jo dar-e-mustafā ke gadā ho ga.e dekhte dekhte kyā se kyā ho ga.e

    aisī chashm-e-karam hai sarkār ne donoñ 'ālam meñ un ko ġhanī kar diyā

    jo bhī aayā hai mahfil meñ sarkār hāzirī mil ga.ī jis ko darbār

    koī siddīq-o-fārūq-o-’usmāñ huā aur kisī ko nabī ne 'alī kar diyā

    koī māyūs lauTā na darbār se jo bhī māñgā milā merī sarkār se

    sadqe jā۔ūñ 'niyāzī' maiñ laj-pāl ke har gadā ko saḳhī ne saḳhī kar dayā

    is karam ka karun shukr kaise ada jo karam mujh pe mere nabi kar diya

    main sajata tha sarkar ki mahfilen mujh ko har gham se rab ne bari kar diya

    zikr-e-sarkar ki hain baDi barkaten mil gain rahaten azmaten rifaten

    main gunahgar tha be-amal tha magar mustafa ne mujhe jannati kar diya

    lamha-lamha hai mujh par nabi ki 'ata dosto aur mangun main maula se kya

    kya ye kam hai ki mere KHuda ne mujhe apne mahbub ka ummati kar diya

    jo dar-e-mustafa ke gada ho gae dekhte dekhte kya se kya ho gae

    aisi chashm-e-karam ki hai sarkar ne donon 'alam mein un ko ghani kar diya

    jo bhi aaya hai mahfil mein sarkar ki haziri mil gai jis ko darbar ki

    koi siddiq-o-faruq-o-’usman hua aur kisi ko nabi ne 'ali kar diya

    koi mayus lauTa na darbar se jo bhi manga mila meri sarkar se

    sadqe ja۔un 'niyazi' main laj-pal ke har gada ko saKHi ne saKHi kar daya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Niyazi (Shams-ul-Zuha) (Pg. 27)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now