ishq ki ibtida bhi tum husn ki intiha bhi tum
ishq kī ibtidā bhī tum husn kī intihā bhī tum
rahne do raaz khul gayā bande bhī tum ḳhudā bhī tum
apnī atā kā vāsta merī ḳhatā.eñ baḳhsh do
maiñ to gunāhgār huuñ merā to aasrā bhī tum
banda-e-haq gadā-navāz mahram-e-rāz-e-be-niyāz
vāqif hai rāz-e-kibriyā jalva-e-mustafā bhī tum
ishq ki ibtida bhi tum husn ki intiha bhi tum
rahne do raaz khul gaya bande bhi tum KHuda bhi tum
apni ata ka wasta meri KHataen baKHsh do
main to gunahgar hun mera to aasra bhi tum
banda-e-haq gada-nawaz mahram-e-raaz-e-be-niyaz
waqif hai raaz-e-kibriya jalwa-e-mustafa bhi tum
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 213)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.