ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho
ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
ishq meñ tere koh-e-ġham sar pe liyā jo ho so ho
aish-o-nishāt-e-zindagī chhoḌ diyā jo ho so ho
pūchho na mujh ḳharāb se yaaro salāh-e-kār tum
apne to ab rahe nahīñ hosh-ba-jā jo ho so ho
muj-se marīz ko tabīb haath apnā mat lagā
us ko ḳhudā pe chhoḌ do bahr-e-ḳhudā jo ho so ho
aql ke madrasa se uTh ishq ke mai-kada meñ aa
jām-e-fanā-o-be-ḳhudī ab to piyā jo ho so ho
laag kī aag lag uThī pamba namat sā jal gayā
raḳht-e-vajūd-e-jān-o-tan kuchh na bachā jo ho so ho
dīda-o-dil baham haiñ ek suujh meñ aur buujh meñ
āñkhoñ ke sāmne ayaañ dil meñ basā jo ho so ho
hijr kī jo musībateñ arz kiiñ us ke sāmne
nāz-o-adā se muskurā kahne lagā jo ho so ho
hastī kī is sarā.e meñ raat kī raat jo bas liye
sub.h-e-adam huī na ho va paañv uThāo jo ho so ho
duniyā ke nek-o-bad se kaam ham ko 'niyāz' kuchh nahīñ
aap se guzar gayā phir use kyā jo ho so ho
ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho
aish-o-nishat-e-zindagi chhoD diya jo ho so ho
puchho na mujh KHarab se yaro salah-e-kar tum
apne to ab rahe nahin hosh-ba-ja jo ho so ho
muj-se mariz ko tabib hath apna mat laga
us ko KHuda pe chhoD do bahr-e-KHuda jo ho so ho
aql ke madrasa se uTh ishq ke mai-kada mein aa
jam-e-fana-o-be-KHudi ab to piya jo ho so ho
lag ki aag lag uThi pamba namat sa jal gaya
raKHt-e-wajud-e-jaan-o-tan kuchh na bacha jo ho so ho
dida-o-dil baham hain ek sujh mein aur bujh mein
aankhon ke samne ayan dil mein basa jo ho so ho
hijr ki jo musibaten arz kin us ke samne
naz-o-ada se muskura kahne laga jo ho so ho
hasti ki is sarae mein raat ki raat jo bas liye
subh-e-adam hui na ho wa panw uThao jo ho so ho
duniya ke nek-o-bad se kaam hum ko 'niyaz' kuchh nahin
aap se guzar gaya phir use kya jo ho so ho
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 152)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.