ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho
ishq meñ tere koh-e-ġham sar pe liyā jo ho so ho
aish-o-nishāt-e-zindagī chhoḌ diyā jo ho so ho
pūchho na mujh ḳharāb se yaaro salāhkār tum
apne to ab nahīñ rahe hosh-bajā jo ho so ho
mujh se marīz ko tabīb haath tū apnā mat lagā
is ko ḳhudā pe chhoḌ de bahar-e-ḳhudā jo ho so ho
aqal ke madrasa se uTh ishq ke mai-kada meñ aa
jām-e-fanā-o-be-ḳhudī ab to piyā jo ho so ho
laag kī aag lagte hī pamba namat ye jal gayā
raḳht-e-vajūd-e-jān-o-tan kuchh na bachā jo ho so ho
dīda-o-dil ba-ham haiñ ek suujh meñ aur buujh meñ
āñkhoñ ke sāmne ayaañ dil meñ basā jo ho so ho
hijr kī jo musībateñ arz kiiñ us ke rū-ba-rū
nāz-o-adā se muskurā kahne lagā jo ho so ho
hastī ke is sarāb meñ raat kī raat bas rahe
sub.h-e-adam huī namūd paañv uThā jo ho so ho
duniyā ke nek-o-bad se kaam ham ko 'niyāz' kuchh nahīñ
aap se jo guzar gayā phir use kyā jo ho so ho
ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho
aish-o-nishat-e-zindagi chhoD diya jo ho so ho
puchho na mujh KHarab se yaro salahkar tum
apne to ab nahin rahe hosh-baja jo ho so ho
mujh se mariz ko tabib hath tu apna mat laga
is ko KHuda pe chhoD de bahar-e-KHuda jo ho so ho
aqal ke madrasa se uTh ishq ke mai-kada mein aa
jam-e-fana-o-be-KHudi ab to piya jo ho so ho
lag ki aag lagte hi pamba namat ye jal gaya
raKHt-e-wajud-e-jaan-o-tan kuchh na bacha jo ho so ho
dida-o-dil ba-ham hain ek sujh mein aur bujh mein
aankhon ke samne ayan dil mein basa jo ho so ho
hijr ki jo musibaten arz kin us ke ru-ba-ru
naz-o-ada se muskura kahne laga jo ho so ho
hasti ke is sarab mein raat ki raat bas rahe
subh-e-adam hui namud panw uTha jo ho so ho
duniya ke nek-o-bad se kaam hum ko 'niyaz' kuchh nahin
aap se jo guzar gaya phir use kya jo ho so ho
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 152)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.