Sufinama

jaan kar min-jumla-e-kHasan-e-mai-kHana mujhe

Jigar Moradabadi

jaan kar min-jumla-e-kHasan-e-mai-kHana mujhe

Jigar Moradabadi

MORE BYJigar Moradabadi

    jaan kar min-jumla-e-kHāsān-e-mai-kHāna mujhe

    muddatoñ royā kareñge jām-o-paimāna mujhe

    nañg-e-mai-ḳhāna thā meñ saaqī ne ye kyā kar diyā

    piine vaale kah uThe pīr-e-mai-ḳhāna mujhe

    sabza-o-gul mauj-e-dariyā anjum-o-kHurshīd-o-māh

    ik ta.alluq sab se hai lekin raqībāna mujhe

    zindagī meñ aa gayā jab koī vaqt-e-imtihāñ

    is ne dekhā hai 'jigar' be-iḳhtiyārāna mujhe

    jaan kar min-jumla-e-kHasan-e-mai-kHana mujhe

    muddaton roya karenge jam-o-paimana mujhe

    nang-e-mai-KHana tha mein saqi ne ye kya kar diya

    pine wale kah uThe ya pir-e-mai-KHana mujhe

    sabza-o-gul mauj-e-dariya anjum-o-kHurshid-o-mah

    ek talluq sab se hai lekin raqibana mujhe

    zindagi mein aa gaya jab koi waqt-e-imtihan

    is ne dekha hai 'jigar' be-iKHtiyarana mujhe

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ali Waris Warsi

    Ali Waris Warsi

    Source :
    • Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 248)
    • Edition : Second
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now