jab achanak mujhe yaad aap ki aa jati hai
jab achanak mujhe yaad aap ki aa jati hai
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
jab achānak mujhe yaad aap kī aa jaatī hai
dil kī duniyā meñ ajab hashr uThā jaatī hai
jab vo ḳhushbu-e-badan laatī hai bād-e-saharī
merī ummīd ke ġhunchoñ ko khilā jaatī hai
thartharā uThte haiñ sun sun ke shab-e-ġham taare
āsmāñ tak mire nāloñ kī sadā jaatī hai
lamha bhar ko jo zarā chain se so jaatā huuñ
aap kī yaad mujhe aa ke satā jaatī hai
fasl gul hotī hai do rose kī mehmān magar
aake gulshan meñ na.ī dhuum machā jaatī hai
ab nahīñ koī zarūrat kisī qāsid kī 'nasīr'
le ke paiġhām mirā āh-e-rasā jaatī hai
jab achanak mujhe yaad aap ki aa jati hai
dil ki duniya mein ajab hashr uTha jati hai
jab wo KHushbu-e-badan lati hai baad-e-sahari
meri ummid ke ghunchon ko khila jati hai
tharthara uThte hain sun sun ke shab-e-gham tare
aasman tak mere nalon ki sada jati hai
lamha bhar ko jo zara chain se so jata hun
aap ki yaad mujhe aa ke sata jati hai
fasl gul hoti hai do rose ki mehman magar
aake gulshan mein nai dhum macha jati hai
ab nahin koi zarurat kisi qasid ki 'nasir'
le ke paigham mera aah-e-rasa jati hai
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 816)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.