jab ruḳh-e-husn se naqāb uThā
jab ruḳh-e-husn se naqāb uThā
ban ke har zarra āftāb uThā
Duubī jaatī hai zabt kī kashtī
dil meñ tūfān-e-iztirāb uThā
marne vaale fanā bhī parda hai
uTh sake gar to ye hijāb uThā
shāhid-e-mai kī ḳhalvatoñ meñ pahuñch
parda-e-nashsha-e-sharāb uThā
ham to āñkhoñ kā nuur kho baiThe
un ke chehre se kyā naqāb uThā
ālam-e-husn-e-sādgī tauba
ishq khā khā ke pech-o-tāb uThā
hosh naqs-e-ḳhudī hai ai 'ehsān'
lā uThā shīsha-e-sharāb uThā
jab ruḳh-e-husn se naqāb uThā
ban ke har zarra āftāb uThā
Dubī jatī hai zabt kī kashtī
dil meñ tūfān-e-iztirāb uThā
marne wale fanā bhī parda hai
uTh sake gar to ye hijāb uThā
shāhid-e-mai kī ḳhalwatoñ meñ pahuñch
parda-e-nashsha-e-sharāb uThā
hum to āñkhoñ kā nur kho baiThe
un ke chehre se kyā naqāb uThā
ālam-e-husn-e-sādgī tauba
ishq khā khā ke pech-o-tāb uThā
hosh naqs-e-ḳhudī hai ai 'ehsān'
lā uThā shīsha-e-sharāb uThā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.