Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jab tak dahān-e-zaḳhm na paidā kare koī

Mirza Ghalib

jab tak dahān-e-zaḳhm na paidā kare koī

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    jab tak dahān-e-zaḳhm na paidā kare koī

    mushkil ki tujh se rāh-e-suḳhan kare koī

    aalam ġhubār-e-vahshat-e-majnūñ hai sar-ba-sar

    kab tak ḳhayāl-e-turra-e-lailā kare koī

    afsurdagī nahīñ tarab-inshā-e-iltifāt

    haañ dard ban ke dil meñ magar kare koī

    rone se ai nadīm malāmat na kar mujhe

    āḳhir kabhī to uqda-e-dil kare koī

    chāk-e-jigar se jab rah-e-pursish na huī

    kyā fā.eda ki jaib ko rusvā kare koī

    laḳht-e-jigar se hai rag-e-har-ḳhār shāḳh-e-gul

    chand bāġh-bāni-e-sahrā kare koī

    nākāmi-e-nigāh hai barq-e-nazārā-soz

    vo nahīñ ki tujh ko tamāshā kare koī

    har sañg o ḳhisht hai sadaf-e-gauhar-e-shikast

    nuqsāñ nahīñ junūñ se jo saudā kare koī

    sar bar huī na vāda-e-sabr-āzmā se umr

    fursat kahāñ ki terī tamannā kare koī

    hai vahshat-e-tabī.at-e-ījād yās-ḳhez

    ye dard vo nahīñ ki na paidā kare koī

    bekāri-e-junūñ ko hai sar pīTne shuġhl

    jab haath TuuT jaa.eñ to phir kyā kare koī

    husn-e-faroġh-e-shamma-e-suḳhan duur hai 'asad'

    pahle Dil-e-gudāḳhta paidā kare koī

    vahshat kahāñ ki be-ḳhudī inshā kare koī

    hastī ko lafz-e-m.ani-e-anqā kare koī

    jo kuchh hai mahv-e-shoḳhi-e-abrū-e-yār hai

    āñkhoñ ko rakh ke taaq pe dekhā kare koī

    arz-e-sarishk par hai fazā-e-zamāna tañg

    sahrā kahāñ ki dāvat-e-dariyā kare koī

    vo shoḳh apne husn pe maġhrūr hai 'asad'

    dikhlā ke us ko aa.ina toḌā kare koī

    jab tak dahān-e-zaḳhm na paidā kare koī

    mushkil ki tujh se rāh-e-suḳhan kare koī

    aalam ġhubār-e-wahshat-e-majnūñ hai sar-ba-sar

    kab tak ḳhayāl-e-turra-e-lailā kare koī

    afsurdagī nahīñ tarab-inshā-e-iltifāt

    hañ dard ban ke dil meñ magar kare koī

    rone se ai nadīm malāmat na kar mujhe

    āḳhir kabhī to uqda-e-dil kare koī

    chāk-e-jigar se jab rah-e-pursish na huī

    kyā fāeda ki jaib ko ruswā kare koī

    laḳht-e-jigar se hai rag-e-har-ḳhār shāḳh-e-gul

    chand bāġh-bāni-e-sahrā kare koī

    nākāmi-e-nigāh hai barq-e-nazārā-soz

    wo nahīñ ki tujh ko tamāshā kare koī

    har sañg o ḳhisht hai sadaf-e-gauhar-e-shikast

    nuqsāñ nahīñ junūñ se jo saudā kare koī

    sar bar huī na wāda-e-sabr-āzmā se umr

    fursat kahāñ ki terī tamannā kare koī

    hai wahshat-e-tabīat-e-ījād yās-ḳhez

    ye dard wo nahīñ ki na paidā kare koī

    bekāri-e-junūñ ko hai sar pīTne shuġhl

    jab hath TuT jaeñ to phir kyā kare koī

    husn-e-faroġh-e-shamma-e-suḳhan dur hai 'asad'

    pahle Dil-e-gudāḳhta paidā kare koī

    wahshat kahāñ ki be-ḳhudī inshā kare koī

    hastī ko lafz-e-mani-e-anqā kare koī

    jo kuchh hai mahw-e-shoḳhi-e-abrū-e-yār hai

    āñkhoñ ko rakh ke taq pe dekhā kare koī

    arz-e-sarishk par hai fazā-e-zamāna tañg

    sahrā kahāñ ki dāwat-e-dariyā kare koī

    wo shoḳh apne husn pe maġhrūr hai 'asad'

    dikhlā ke us ko aaina toḌā kare koī

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now