jab yaad kiya usne phir kis ki faramoshi
jab yaad kiyā us ne phir kis kī farāmoshī
yuuñ aate haiñ hosh 'akbar' yuuñ jaatī hai be-hoshī
baiThe hue āñkhoñ meñ ḳhud mahv-e-tamāshā ho
dekhā karo tum ham ko ham dekheñ to rūposhī
vo turbat-e-āshiq par muñh Dhāñp kar aa.e haiñ
allāh re sharm un kī allāh re rū-poshī
sunte haiñ ki thā pahle dariyā meñ nihāñ qatrā
ab bahr ne chāhī hai qatre se ham-āġhoshī
mahshar bhī huā barpā uTThe na tire kushte
behosh hai naam us kā allāh re be-hoshī
bhūlegā na ai 'akbar' ustād kā ye misra.a
saaqī diye jā sāġhar jab tak na ho be-hoshī
jab yaad kiya us ne phir kis ki faramoshi
yun aate hain hosh 'akbar' yun jati hai be-hoshi
baiThe hue aankhon mein KHud mahw-e-tamasha ho
dekha karo tum hum ko hum dekhen to ruposhi
wo turbat-e-ashiq par munh Dhanp kar aae hain
allah re sharm un ki allah re ru-poshi
sunte hain ki tha pahle dariya mein nihan qatra
ab bahr ne chahi hai qatre se ham-aghoshi
mahshar bhi hua barpa uTThe na tere kushte
behosh hai nam us ka allah re be-hoshi
bhulega na ai 'akbar' ustad ka ye misra
saqi diye ja saghar jab tak na ho be-hoshi
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 108)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
- Book : Ruhani Guldasta (Pg. 23)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Tanzim-e-Akbari, Khanqan Sajjadia, Danapur (2012)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.