jahāñ meñ har kahīñ har sū
mere pyāre mere mahbūb mujhe tum yaad aate ho
bharī barsāt meñ koyal
kisī sarsabz Tahnī par
pukāre jab kahīñ kū-kū
mere pyāre mere mahbūb mujhe tum yaad aate ho
kisī gul se kalī se
yā havā ke narm āñchal se
kahīñ mahke kabhī ḳhushbū
mere pyāre mere mahbūb mujhe tum yaad aate ho
udaas afsurda rotī ġham-zada
āñkhoñ se jis lamha
chhalaktā hai koī aañsū
mere pyāre mere mahbūb mujhe tum yaad aate ho
merī majbūriyāñ dekho
ki koh-o-dasht-vādī meñ
sar-e-sahrā kināra jū
mere pyāre mere mahbūb mujhe tum yaad aate ho
jahan mein har kahin har su
mere pyare mere mahbub mujhe tum yaad aate ho
bhari barsat mein koyal
kisi sarsabz Tahni par
pukare jab kahin ku-ku
mere pyare mere mahbub mujhe tum yaad aate ho
kisi gul se kali se
ya hawa ke narm aanchal se
kahin mahke kabhi KHushbu
mere pyare mere mahbub mujhe tum yaad aate ho
udas afsurda roti gham-zada
aankhon se jis lamha
chhalakta hai koi aansu
mere pyare mere mahbub mujhe tum yaad aate ho
meri majburiyan dekho
ki koh-o-dasht-wadi mein
sar-e-sahra kinara ju
mere pyare mere mahbub mujhe tum yaad aate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.