Sufinama

jaur se baz aae par baz aaeñ kyā

Mirza Ghalib

jaur se baz aae par baz aaeñ kyā

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    jaur se baaz aa.e par baaz aa.eñ kyā

    kahte haiñ ham tujh ko muñh dikhlā.eñ kyā

    raat din gardish meñ haiñ saat āsmāñ

    ho rahegā kuchh na kuchh ghabrā.eñ kyā

    laag ho to us ko ham samjheñ lagāo

    jab na ho kuchh bhī to dhokā khā.eñ kyā

    ho liye kyuuñ nāma-bar ke saath saath

    rab apne ḳhat ko ham pahuñchā.eñ kyā

    mauj-e-ḳhūñ sar se guzar kyuuñ na jaa.e

    āstān-e-yār se uTh jaa.eñ kyā

    umr bhar dekhā kiyā marne raah

    mar ga.e par dekhiye dikhlā.eñ kyā

    pūchhte haiñ vo ki 'ġhālib' kaun hai

    koī batlāo ki ham batlā.eñ kyā

    jaur se baz aae par baz aaeñ kyā

    kahte haiñ hum tujh ko muñh dikhlāeñ kyā

    raat din gardish meñ haiñ sat āsmāñ

    ho rahegā kuchh na kuchh ghabrāeñ kyā

    lag ho to us ko hum samjheñ lagāo

    jab na ho kuchh bhī to dhokā khāeñ kyā

    ho liye kyuñ nāma-bar ke sath sath

    rab apne ḳhat ko hum pahuñchāeñ kyā

    mauj-e-ḳhūñ sar se guzar kyuñ na jae

    āstān-e-yār se uTh jaeñ kyā

    umr bhar dekhā kiyā marne rah

    mar gae par dekhiye dikhlāeñ kyā

    pūchhte haiñ wo ki 'ġhālib' kaun hai

    koī batlāo ki hum batlāeñ kyā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now