jism damakta zulf ghaneri rangin lab aankhen jadu
jism damaktā zulf ghanerī rañgīñ lab āñkheñ jaadū
sañg-e-marmar uudā bādal surḳh shafaq hairāñ aahū
bhikshū-dānī pyāsā paanī dariyā sāgar jal gāgar
gulshan ḳhushbū koyal kuukū mastī daarū maiñ aur tū
bāñbī nāgin chhāyā āñgan ghuñghrū chhan-chhan aashā man
āñkheñ kājal parbat bādal vo zulfeñ aur ye baazū
rāteñ mahkī sāñseñ dahkī nazreñ bahkī rut lahkī
sapan salonā prem khilaunā phuul bichhaunā vo pahlū
tum se duurī ye majbūrī zaḳhm-e-kārī bedārī
tanhā rāteñ sapne kāteñ ḳhud se bāteñ merī ḳhū
jism damakta zulf ghaneri rangin lab aankhen jadu
sang-e-marmar uda baadal surKH shafaq hairan aahu
bhikshu-dani pyasa pani dariya sagar jal gagar
gulshan KHushbu koyal kuku masti daru main aur tu
banbi nagin chhaya aangan ghunghru chhan-chhan aasha man
aankhen kajal parbat baadal wo zulfen aur ye bazu
raaten mahki sansen dahki nazren bahki rut lahki
sapan salona prem khilauna phul bichhauna wo pahlu
tum se duri ye majburi zaKHm-e-kari bedari
tanha raaten sapne katen KHud se baaten meri KHu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.