jalwa-e-husn-e-azal dida-e-biana mujhse
jalva-e-husn-e-azal dīda-e-bianā mujh se
jaane kyā soch ke phir kar liyā parda mujh se
ġham se ehsās kā ā.īna jilā paatā hai
aur ġham sīkhe hai aakar ye salīqa mujh se
raat phir jashn-e-charāġhāñ ke liye māñgā thā
mauj-e-ehsās ne ik pyaas kā sho.ala mujh se
maiñ ne mazlūm kā bas naam liyā thā logo
jaane kyuuñ ho gayā braham vo masīhā mujh se
merī ḳhvāhish pe hai mauqūf vujūd-e-'ālam
aur hai mansūb azal se ye karishma mujh se
dil huuñ maiñ pyaar bharā aur tū nāzuk dhaḌkan
dil kā tujh se hai magar dard kā rishta mujh se
bazm yādoñ kī sajī gosha-e-dil meñ 'jāved'
phir vahī taaza ġhazal kā hai taqāzā mujh se
jalwa-e-husn-e-azal dida-e-biana mujh se
jaane kya soch ke phir kar liya parda mujh se
gham se ehsas ka aaina jila pata hai
aur gham sikhe hai aakar ye saliqa mujh se
raat phir jashn-e-charaghan ke liye manga tha
mauj-e-ehsas ne ek pyas ka shoala mujh se
main ne mazlum ka bas nam liya tha logo
jaane kyun ho gaya braham wo masiha mujh se
meri KHwahish pe hai mauquf wujud-e-'alam
aur hai mansub azal se ye karishma mujh se
dil hun main pyar bhara aur tu nazuk dhaDkan
dil ka tujh se hai magar dard ka rishta mujh se
bazm yaadon ki saji gosha-e-dil mein 'jawed'
phir wahi taza ghazal ka hai taqaza mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.