ishq la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin
'ishq lā-mahdūd jab tak rahnumā hotā nahīñ
zindagī se zindagī kā haq adā hotā nahīñ
be-karāñ hotā nahīñ be-intihā hotā nahīñ
qatra jab tak baḌh ke qulzum-āshnā hotā nahīñ
zindagī ik hādisa hai aur kaisā hādisa
maut se bhī ḳhatm jis kā silsila hotā nahīñ
kaun ye nāseh ko samjhā.e ba-tarz-e-dil-nashīñ
'ishq sādiq ho to ġham bhī be-mazā hotā nahīñ
us maqām-e-qarb tak ab 'ishq pahuñchā hai jahāñ
dīda-o-dil kā bhī aksar vāstā hotā nahīñ
har qadam ke saath manzil lekin is kā kyā 'ilāj
'ishq hī kam-baḳht manzil-āshnā hotā nahīñ
allāh-allāh ye kamāl-e-irtibāt-e-husn-o-’ishq
fāsle hoñ laakh dil se dil judā hotā nahīñ
'ishq la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin
zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin
be-karan hota nahin be-intiha hota nahin
qatra jab tak baDh ke qulzum-ashna hota nahin
zindagi ek hadisa hai aur kaisa hadisa
maut se bhi KHatm jis ka silsila hota nahin
kaun ye naseh ko samjhae ba-tarz-e-dil-nashin
'ishq sadiq ho to gham bhi be-maza hota nahin
us maqam-e-qarb tak ab 'ishq pahuncha hai jahan
dida-o-dil ka bhi aksar wasta hota nahin
har qadam ke sath manzil lekin is ka kya 'ilaj
'ishq hi kam-baKHt manzil-ashna hota nahin
allah-allah ye kamal-e-irtibaat-e-husn-o-’ishq
fasle hon lakh dil se dil juda hota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.