aadmi aadmi se milta hai
aadmī aadmī se miltā hai
dil magar kam kisī se miltā hai
bhuul jaatā huuñ maiñ sitam us ke
vo kuchh is sādgī se miltā hai
mil ke bhī jo kabhī nahīñ miltā
TuuT kar dil usī se miltā hai
aaj kyā baat hai ki phūloñ kā
rañg terī hañsī se miltā hai
silsila fitna-e-qayāmat kā
tirī ḳhush-qāmatī se miltā hai
kārobār-e-jahāñ sañvarte haiñ
hosh jab be-ḳhudī se miltā hai
ruuh ko bhī mazā mohabbat kā
dil kī hamsā.egī se miltā hai
aadmi aadmi se milta hai
dil magar kam kisi se milta hai
bhul jata hun main sitam us ke
wo kuchh is sadgi se milta hai
mil ke bhi jo kabhi nahin milta
TuT kar dil usi se milta hai
aaj kya baat hai ki phulon ka
rang teri hansi se milta hai
silsila fitna-e-qayamat ka
teri KHush-qamati se milta hai
karobar-e-jahan sanwarte hain
hosh jab be-KHudi se milta hai
ruh ko bhi maza mohabbat ka
dil ki hamsaegi se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.