Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ji chahe tu shisha ban ja ji chahe paimana ban ja

Zaheen Shah Taji

ji chahe tu shisha ban ja ji chahe paimana ban ja

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    chāhe shīsha ban chāhe paimāna ban

    shīsha paimāna kyā banñā mai ban mai-ḳhāna ban

    mai ban kar mai-ḳhāna ban kar mastī afsāna ban

    mastī afsāna ban kar hastī se begāna ban

    hastī se begāna honā mastī afsāna banñā

    is hone se us banñe se achchhā hai dīvāna ban

    dīvāna ban jaane se bhī dīvāna honā hai achchhā

    dīvāna hone se achchhā ḳhāk-e-dar-e-jānāna ban

    ḳhāk-e-dar-e-jānāna kyā hai ahl-e-dil aañkh surma

    sham.a ke dil ThanDak ban nūr-e-dil-e-parvāna ban

    siikh 'zhīn' ke dil se jalnā kaahe ko har sham.a pe jalnā

    apnī aag meñ ḳhud jal jaa.e aisā parvāna ban

    ji chahe tu shisha ban ja ji chahe paimana ban ja

    shisha paimana kya banna mai ban ja mai-KHana ban ja

    mai ban kar mai-KHana ban kar masti ka afsana ban ja

    masti ka afsana ban kar hasti se begana ban ja

    hasti se begana hona masti ka afsana banna

    is hone se us banne se achchha hai diwana ban ja

    diwana ban jaane se bhi diwana hona hai achchha

    diwana hone se achchha KHak-e-dar-e-jaanana ban ja

    KHak-e-dar-e-jaanana kya hai ahl-e-dil ki aankh ka surma

    shama ke dil ki ThanDak ban ja nur-e-dil-e-parwana ban ja

    sikh 'zhin' ke dil se jalna kahe ko har shama pe jalna

    apni aag mein KHud jal jae tu aisa parwana ban ja

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Kavita Seth

    Kavita Seth

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now