jis jā nasīm shānā-kash-e-zulf-e-yār hai
jis jā nasīm shānā-kash-e-zulf-e-yār hai
naafā dimāġh-e-āhu-e-dasht-e-tatār hai
kis kā surāġh jalva hai hairat ko ai ḳhudā
ā.īna farsh-e-shash-jahat-e-intizār hai
hai zarra zarra tañgi-e-jā se ġhubār-e-shauq
gar daam ye hai vus.at-e-sahrā shikār hai
dil mudda.ī o diida banā mudda.ā-alaih
nazzāre kā muqaddama phir rū-ba-kār hai
chhiḌke hai shabnam ā.īna-e-barg-e-gul par aab
ai andalīb vaqt-e-vadā-e-bahār hai
pach aa paḌī hai vāda-e-dil-dār kī mujhe
vo aa.e yā na aa.e pe yaañ intizār hai
be-parda sū-e-vādi-e-majnūñ guzar na kar
har zarra ke naqāb meñ dil be-qarār hai
ai andalīb yak kaf-e-ḳhas bahr-e-āshyāñ
tūfān-e-āmad āmad-e-fasl-e-bahār hai
dil mat gañvā ḳhabar na sahī sair hī sahī
ai be-dimāġh ā.īna timsāl-dār hai
ġhaflat kafīl-e-umr o 'asad' zāmin-e-nashāt
ai marg-e-nā-gahāñ tujhe kyā intizār hai
jis jā nasīm shānā-kash-e-zulf-e-yār hai
nafā dimāġh-e-āhu-e-dasht-e-tatār hai
kis kā surāġh jalwa hai hairat ko ai ḳhudā
āīna farsh-e-shash-jahat-e-intizār hai
hai zarra zarra tañgi-e-jā se ġhubār-e-shauq
gar dam ye hai wusat-e-sahrā shikār hai
dil muddaī o dida banā muddaā-alaih
nazzāre kā muqaddama phir rū-ba-kār hai
chhiḌke hai shabnam āīna-e-barg-e-gul par aab
ai andalīb waqt-e-wadā-e-bahār hai
pach aa paḌī hai wāda-e-dil-dār kī mujhe
wo aae yā na aae pe yañ intizār hai
be-parda sū-e-wādi-e-majnūñ guzar na kar
har zarra ke naqāb meñ dil be-qarār hai
ai andalīb yak kaf-e-ḳhas bahr-e-āshyāñ
tūfān-e-āmad āmad-e-fasl-e-bahār hai
dil mat gañwā ḳhabar na sahī sair hī sahī
ai be-dimāġh āīna timsāl-dār hai
ġhaflat kafīl-e-umr o 'asad' zāmin-e-nashāt
ai marg-e-nā-gahāñ tujhe kyā intizār hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.