jis ki tujhe talash hai ai dil jagah jagah
jis kī tujhe talāsh hai ai dil jagah jagah
be-parda hai vo raunaq-e-mahfil jagah jagah
rahmat ne dekh kar merī tūfāñ-navāziyāñ
har mauj ko banā diyā sāhil jagah jagah
kyuuñ āñkheñ band kar ke chalā jā rahā hai tū
kāñTe bichhe haiñ raah meñ ġhāfil jagah jagah
jo kuchh bhī tujhko denā hai de apne haath se
phailā.e haath kyuuñ tirā saa.el jagah jagah
jis ki tujhe talash hai ai dil jagah jagah
be-parda hai wo raunaq-e-mahfil jagah jagah
rahmat ne dekh kar meri tufan-nawaziyan
har mauj ko bana diya sahil jagah jagah
kyun aankhen band kar ke chala ja raha hai tu
kanTe bichhe hain rah mein ghafil jagah jagah
jo kuchh bhi tujhko dena hai de apne hath se
phailae hath kyun tera sael jagah jagah
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 183)
- Author : Meraj Ahmed Nizmai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.