jis zaḳhm kī ho saktī ho tadbīr rafū kī
jis zaḳhm kī ho saktī ho tadbīr rafū kī
likh dījiyo yā rab use qismat meñ adū kī
achchhā hai sar-añgusht-e-hinā.ī kā tasavvur
dil meñ nazar aatī to hai ik buuñd lahū kī
kyuuñ Darte ho ushshāq kī be-hauslagī se
yaañ to koī suntā nahīñ fariyād kisū kī
dashne ne kabhī muñh na lagāyā ho jigar ko
ḳhanjar ne kabhī baat na pūchhī ho gulū kī
sad-haif vo nākām ki ik umr se 'ġhālib'
hasrat meñ rahe ek but-e-arbada-jū kī
go zindagi-e-zāhid-e-be-chāra abas hai
itnā hai ki rahtī to hai tadbīr vazū kī
jis zaḳhm kī ho saktī ho tadbīr rafū kī
likh dījiyo yā rab use qismat meñ adū kī
achchhā hai sar-añgusht-e-hināī kā tasawwur
dil meñ nazar aatī to hai ek buñd lahū kī
kyuñ Darte ho ushshāq kī be-hauslagī se
yañ to koī suntā nahīñ fariyād kisū kī
dashne ne kabhī muñh na lagāyā ho jigar ko
ḳhanjar ne kabhī baat na pūchhī ho gulū kī
sad-haif wo nākām ki ek umr se 'ġhālib'
hasrat meñ rahe ek but-e-arbada-jū kī
go zindagi-e-zāhid-e-be-chāra abas hai
itnā hai ki rahtī to hai tadbīr wazū kī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.