jise teri zulfon ke KHam yaad aae
jise terī zulfoñ ke ḳham yaad aa.e
use phir na dair-o-haram yaad aa.e
vahīñ māh-o-anjum kī tābāniyāñ thiiñ
jahāñ tere naqsh-e-qadam yaad aa.e
baḌhī aur shām-e-alam kī udāsī
jo gesū tire dam-badam yaad aa.e
baharhāl un se rahā ik ta.alluq
sitam yaad aa.e karam yaad aa.e
ho jis kī nazar meñ vujūd ek manzil
use kaise rāh-e-adam yaad aa.e
'nasīr' apnī rūdād jab ham ne dekhī
ghanī zulf ke pech-o-ḳham yaad aa.e
jise teri zulfon ke KHam yaad aae
use phir na dair-o-haram yaad aae
wahin mah-o-anjum ki tabaniyan thin
jahan tere naqsh-e-qadam yaad aae
baDhi aur sham-e-alam ki udasi
jo gesu tere dam-badam yaad aae
baharhaal un se raha ek talluq
sitam yaad aae karam yaad aae
ho jis ki nazar mein wujud ek manzil
use kaise rah-e-adam yaad aae
'nasir' apni rudad jab hum ne dekhi
ghani zulf ke pech-o-KHam yaad aae
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 902)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.