jo puchha ki kis tarh hoti hai barish
jo pūchhā ki kis tarh hotī hai bārish
jabīñ se pasīne kī būñdeñ girā diiñ
jo pūchhā ki kis tarh girtī hai bijlī
nigāheñ milā.īñ milā kar jhukā diiñ
jo pūchhā shab-o-roz milte haiñ kaise
to chehre pe apne vo zulfeñ girā diiñ
jo pūchhā ki naġhmoñ meñ jaadū hai kaisā
to mīThe takallum meñ bāteñ sunā diiñ
jo apnī tamannāoñ kā haal pūchhā
to jaltī huī chand sham.eñ bujhā diiñ
jo puchha ki kis tarh hoti hai barish
jabin se pasine ki bunden gira din
jo puchha ki kis tarh girti hai bijli
nigahen milain mila kar jhuka din
jo puchha shab-o-roz milte hain kaise
to chehre pe apne wo zulfen gira din
jo puchha ki naghmon mein jadu hai kaisa
to miThe takallum mein baaten suna din
jo apni tamannaon ka haal puchha
to jalti hui chand shamen bujha din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.