kab wo sunta hai kahani meri
kab vo suntā hai kahānī merī
aur phir vo bhī zabānī merī
ḳhalish-e-ġhamza-e-ḳhūñ-rez na pūchh
dekh ḳhūnāba-fishānī merī
kyā bayāñ kar ke mirā ro.eñge yaar
magar āshufta bayānī merī
huuñ za-ḳhud rafta-e-baidā-e-ḳhayāl
bhuul jaanā hai nishānī merī
mutaqābil hai muqābil merā
ruk gayā dekh ravānī merī
qadr-e-sañg-e-sar-e-rah rakhtā hauñ
saḳht arzāñ hai girānī merī
gard-bād-e-rah-e-betābī huuñ
sarsar-e-shauq hai baanī merī
dahan us kā jo na mā'lūm huā
khul ga.ī hech madānī merī
kar diyā zo'f ne 'ājiz 'ġhālib'
nañg-e-pīrī hai javānī merī
kab wo sunta hai kahani meri
aur phir wo bhi zabani meri
KHalish-e-ghamza-e-KHun-rez na puchh
dekh KHunaba-fishani meri
kya bayan kar ke mera roenge yar
magar aashufta bayani meri
hun za-KHud rafta-e-baida-e-KHayal
bhul jaana hai nishani meri
mutaqabil hai muqabil mera
ruk gaya dekh rawani meri
qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta haun
saKHt arzan hai girani meri
gard-baad-e-rah-e-betabi hun
sarsar-e-shauq hai bani meri
dahan us ka jo na ma'lum hua
khul gai hech madani meri
kar diya zo'f ne 'ajiz 'ghaalib'
nang-e-piri hai jawani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.