kabhī nekī bhī uske jī meñ gar aa jae hai mujhse
kabhī nekī bhī us ke jī meñ gar aa jaa.e hai mujh se
jafā.eñ kar ke apnī yaad sharmā jaa.e hai mujh se
ḳhudāyā jazba-e-dil kī magar tāsīr ulTī hai
ki jitnā khīñchtā huuñ aur khiñchtā jaa.e hai mujh se
vo bad-ḳhū aur merī dāstān-e-ishq tūlānī
ibārat muḳhtasar qāsid bhī ghabrā jaa.e hai mujh se
udhar vo bad-gumānī hai idhar ye nā-tavānī hai
na pūchhā jaa.e hai us se na bolā jaa.e hai mujh se
sambhalne de mujhe ai nā-ummīdī kyā qayāmat hai
ki dāmān-e-ḳhayāl-e-yār chhūTā jaa.e hai mujh se
takalluf bartaraf nazzārgī meñ bhī sahī lekin
vo dekhā jaa.e kab ye zulm dekhā jaa.e hai mujh se
hue haiñ paañv hī pahle nabard-e-ishq meñ zaḳhmī
na bhāgā jaa.e hai mujh se na Thahrā jaa.e hai mujh se
qayāmat hai ki hove mudda.ī kā ham-safar 'ġhālib'
vo kāfir jo ḳhudā ko bhī na sauñpā jaa.e hai mujh se
kabhī nekī bhī us ke jī meñ gar aa jae hai mujh se
jafāeñ kar ke apnī yaad sharmā jae hai mujh se
ḳhudāyā jazba-e-dil kī magar tāsīr ulTī hai
ki jitnā khīñchtā huñ aur khiñchtā jae hai mujh se
wo bad-ḳhū aur merī dāstān-e-ishq tūlānī
ibārat muḳhtasar qāsid bhī ghabrā jae hai mujh se
udhar wo bad-gumānī hai idhar ye nā-tawānī hai
na pūchhā jae hai us se na bolā jae hai mujh se
sambhalne de mujhe ai nā-ummīdī kyā qayāmat hai
ki dāmān-e-ḳhayāl-e-yār chhūTā jae hai mujh se
takalluf bartaraf nazzārgī meñ bhī sahī lekin
wo dekhā jae kab ye zulm dekhā jae hai mujh se
hue haiñ pañw hī pahle nabard-e-ishq meñ zaḳhmī
na bhāgā jae hai mujh se na Thahrā jae hai mujh se
qayāmat hai ki howe muddaī kā ham-safar 'ġhālib'
wo kāfir jo ḳhudā ko bhī na sauñpā jae hai mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.