kahūñ jo haal to kahte ho muddaā kahiye
kahūñ jo haal to kahte ho mudda.ā kahiye
tumhīñ kaho ki jo tum yuuñ kaho to kyā kahiye
na kahiyo ta.an se phir tum ki ham sitamgar haiñ
mujhe to ḳhū hai ki jo kuchh kaho bajā kahiye
vo neshtar sahī par dil meñ jab utar jaave
nigāh-e-nāz ko phir kyuuñ na āshnā kahiye
nahīñ zarīya-e-rāhat jarāhat-e-paikāñ
vo zaḳhm-e-teġh hai jis ko ki dil-kushā kahiye
jo mudda.ī bane us ke na mudda.ī baniye
jo nā-sazā kahe us ko na nā-sazā kahiye
kahīñ haqīqat-e-jāñ-kāhī-e-maraz likhiye
kahīñ musībat-e-nā-sāzī-e-davā kahiye
kabhī shikāyat-e-ranj-e-girāñ-nashīñ kiije
kabhī hikāyat-e-sabr-e-gurez-pā kahiye
rahe na jaan to qātil ko ḳhūñ-bahā diije
kaTe zabān to ḳhanjar ko marhabā kahiye
nahīñ nigār ko ulfat na ho nigār to hai
ravānī-e-ravish o mastī-e-adā kahiye
nahīñ bahār ko fursat na ho bahār to hai
tarāvat-e-chaman o ḳhūbī-e-havā kahiye
safīna jab ki kināre pe aa lagā 'ġhālib'
ḳhudā se kyā sitam-o-jaur-e-nā-ḳhudā kahiye
kahūñ jo haal to kahte ho muddaā kahiye
tumhīñ kaho ki jo tum yuñ kaho to kyā kahiye
na kahiyo tan se phir tum ki hum sitamgar haiñ
mujhe to ḳhū hai ki jo kuchh kaho bajā kahiye
wo neshtar sahī par dil meñ jab utar jawe
nigāh-e-nāz ko phir kyuñ na āshnā kahiye
nahīñ zarīya-e-rāhat jarāhat-e-paikāñ
wo zaḳhm-e-teġh hai jis ko ki dil-kushā kahiye
jo muddaī bane us ke na muddaī baniye
jo nā-sazā kahe us ko na nā-sazā kahiye
kahīñ haqīqat-e-jāñ-kāhī-e-maraz likhiye
kahīñ musībat-e-nā-sāzī-e-dawā kahiye
kabhī shikāyat-e-ranj-e-girāñ-nashīñ kije
kabhī hikāyat-e-sabr-e-gurez-pā kahiye
rahe na jaan to qātil ko ḳhūñ-bahā dije
kaTe zabān to ḳhanjar ko marhabā kahiye
nahīñ nigār ko ulfat na ho nigār to hai
rawānī-e-rawish o mastī-e-adā kahiye
nahīñ bahār ko fursat na ho bahār to hai
tarāwat-e-chaman o ḳhūbī-e-hawā kahiye
safīna jab ki kināre pe aa lagā 'ġhālib'
ḳhudā se kyā sitam-o-jaur-e-nā-ḳhudā kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.