kahīñ sukūñ na milā dil ko bazm-e-yār ke baad
kahīñ sukūñ na milā dil ko bazm-e-yār ke ba.ad
ki be-qarār rahī zindagī qarār ke ba.ad
uThe na paañv mohabbat kī rahguzār ke ba.ad
koī qayām nahīñ hai tire dayār ke ba.ad
qabā.eñ chaak to karte raheñge dīvāne
kabhī bahār se pahle kabhī bahār ke ba.ad
sharāb-e-ishq kā mai-kash rahā sadā mad.hosh
terī nigāh kī mastī chaḌhī ḳhumār ke ba.ad
nigāh-e-shauq ne donoñ jahāñ ko chhān liyā
milā na rañg koī jalva-gah-e-yār ke ba.ad
talab hai us kī to ho jaao qatl-e-ishq 'fanā'
milī haiñ azmateñ mansūr ko bhī daar ke ba.ad
kahīñ sukūñ na milā dil ko bazm-e-yār ke baad
ki be-qarār rahī zindagī qarār ke baad
uThe na pañw mohabbat kī rahguzār ke baad
koī qayām nahīñ hai tere dayār ke baad
qabāeñ chaak to karte raheñge dīwāne
kabhī bahār se pahle kabhī bahār ke baad
sharāb-e-ishq kā mai-kash rahā sadā madhosh
terī nigāh kī mastī chaḌhī ḳhumār ke baad
nigāh-e-shauq ne donoñ jahāñ ko chhān liyā
milā na rañg koī jalwa-gah-e-yār ke baad
talab hai us kī to ho jao qatl-e-ishq 'fanā'
milī haiñ azmateñ mansūr ko bhī dar ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.