kahna ghalat-ghalat to chhupana sahih-sahih
kahna ghalat-ghalat to chhupana sahih-sahih
Shabbir Sajid Mehrvi
MORE BYShabbir Sajid Mehrvi
kahnā ġhalat-ġhalat to chhupānā sahīh-sahīh
qāsid kahā jo us ne batānā sahīh-sahīh
ye sub.h sub.h chehre kī rañgat uḌī huī
kal raat tum kahāñ the batānā sahīh-sahīh
dil le ke merā haath meñ kahte haiñ mujh se vo
kyā loge is kā daam batānā sahīh-sahīh
āñkheñ milāo ġhair se do ham ko jām-e-mai
saaqī tumheñ qasam hai pilānā sahīh-sahīh
ai mai-farosh bhiiḌ hai terī dukān par
gāhak haiñ ham bhī maal dikhānā sahīh-sahīh
'sājid' to jān-o-dil se faqat aap kā hai bas
kyā aap bhī haiñ us ke batānā sahīh-sahīh
kahna ghalat-ghalat to chhupana sahih-sahih
qasid kaha jo us ne batana sahih-sahih
ye subh subh chehre ki rangat uDi hui
kal raat tum kahan the batana sahih-sahih
dil le ke mera hath mein kahte hain mujh se wo
kya loge is ka dam batana sahih-sahih
aankhen milao ghair se do hum ko jam-e-mai
saqi tumhein qasam hai pilana sahih-sahih
ai mai-farosh bhiD hai teri dukan par
gahak hain hum bhi mal dikhana sahih-sahih
'sajid' to jaan-o-dil se faqat aap ka hai bas
kya aap bhi hain us ke batana sahih-sahih
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.