piya wo jam ki sar mera panw par aaya
piyā vo jaam ki sar merā paañv par aayā
chaḌhā vo nashsha ki 'arsh-e-barīñ nazar aayā
milāyā ḳhaak meñ hastī ko ban ga.e iksīr
uThā.ī ḳhaak to muTThī meñ naqd-e-zar aayā
javāb kyā ki siina se le gayā dil ko
dam-e-sabāh jo us kā pyām-bar aayā
tamām 'umr basar kī siyāh-kārī meñ
'kalīm' tujh ko ḳhudā kā bhī kuchh ḳhatar aayā
piya wo jam ki sar mera panw par aaya
chaDha wo nashsha ki 'arsh-e-barin nazar aaya
milaya KHak mein hasti ko ban gae iksir
uThai KHak to muTThi mein naqd-e-zar aaya
jawab kya ki sina se le gaya dil ko
dam-e-sabah jo us ka pyam-bar aaya
tamam 'umr basar ki siyah-kari mein
'kalim' tujh ko KHuda ka bhi kuchh KHatar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.