dast-e-KHuda hamara jo mushkil-kusha hua
dast-e-ḳhudā hamārā jo mushkil-kushā huā
har dard kī davā huī har 'uqda vā huā
zulf-e-siyāh sāqī-e-rañgīñ ko dekh kar
dil merā mast bāda-e-qālū balā huā
aa.e bahār baaġh meñ gul ḳhanda-zan hue
muzhda ho mai-kasho dar-e-mai-ḳhāna vā huā
aayā jo sāġhar-e-mai-e-tauhīd haath meñ
maiñ haath se gayā ye 'ajab mājrā huā
laayā hai dar ye kHvāja-e-hindūstāñ kī baḳht
dil shaad ho 'kalīm' ki fazl-e-ḳhudā huā
dast-e-KHuda hamara jo mushkil-kusha hua
har dard ki dawa hui har 'uqda wa hua
zulf-e-siyah saqi-e-rangin ko dekh kar
dil mera mast baada-e-qalu bala hua
aae bahaar bagh mein gul KHanda-zan hue
muzhda ho mai-kasho dar-e-mai-KHana wa hua
aaya jo saghar-e-mai-e-tauhid hath mein
main hath se gaya ye 'ajab majra hua
laya hai dar ye kHwaja-e-hindustan ki baKHt
dil shad ho 'kalim' ki fazl-e-KHuda hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.