kam koi fuqara se milta hai KHuda ke waste
kam koi fuqara se milta hai KHuda ke waste
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
kam koī fuqarā se miltā hai ḳhudā ke vāste
daf-e’-a’adā ke liye yā kīmiyā ke vāste
ahl-e-duniyā kī ġharaz lagtī hai jab darvesh se
kahte haiñ apne husūl-e-mudda’ā ke vāste
ai ḳhudā vaalo yahī hai tum se merī iltijā
hal karo mushkil mirī mushkil-kushā ke vāste
mudda'ā hāsil huā to phir ga.e kahne lage
kyuuñ ḳhushāmad kījiye un kī du'ā ke vāste
aise logoñ se kareñ darvesh nā-haq iḳhtilāt
sohbat un kī zahr hai ahl-e-safā ke vāste
shaah jī us ko na kahnā hai vo bhik-mañgā faqīr
aġhniyā se jo mile nashv-o-numā ke vāste
sāyā-e-dargāh-e-kāzim ham ko kyā kam hai 'turāb'
kyuuñ phireñ ham dar-ba-dar zill-e-humā ke vāste
kam koi fuqara se milta hai KHuda ke waste
daf-e’-a’ada ke liye ya kimiya ke waste
ahl-e-duniya ki gharaz lagti hai jab darwesh se
kahte hain apne husul-e-mudda’a ke waste
ai KHuda walo yahi hai tum se meri iltija
hal karo mushkil meri mushkil-kusha ke waste
mudda'a hasil hua to phir gae kahne lage
kyun KHushamad kijiye un ki du'a ke waste
aise logon se karen darwesh na-haq iKHtilat
sohbat un ki zahr hai ahl-e-safa ke waste
shah ji us ko na kahna hai wo bhik-manga faqir
aghniya se jo mile nashw-o-numa ke waste
saya-e-dargah-e-kazim hum ko kya kam hai 'turab'
kyun phiren hum dar-ba-dar zill-e-huma ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.