KHanqah-e-chisht mein jis ne qadam pahla rakha
KHanqah-e-chisht mein jis ne qadam pahla rakha
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
ḳhānqāh-e-chisht meñ jis ne qadam pahlā rakhā
dūsrā us kā qadam phir arsh-e-bālā par huā
qāb-qausain us ke aage ek adnā hai maqām
vaañ pahuñch kar kuchh na pūchho kyā se kyā vo ho gayā
naqsh-e-hastī miT gayā nām-o-nishāñ sab uḌ gayā
saaf matl.a ho gayā jo thā yahāñ vaañ kuchh na thā
saḳht mushkil hai dilā phir us kā aanā is taraf
varna un murdoñ meñ hai jin ko masīhā ne jilā
kyā hī jī ko bhaa.ī haiñ bāteñ ye terī ai 'niyāz'
qaul-e-haq to ham samajhte haiñ miyāñ terā kahā
KHanqah-e-chisht mein jis ne qadam pahla rakha
dusra us ka qadam phir arsh-e-baala par hua
qab-qausain us ke aage ek adna hai maqam
wan pahunch kar kuchh na puchho kya se kya wo ho gaya
naqsh-e-hasti miT gaya nam-o-nishan sab uD gaya
saf matla ho gaya jo tha yahan wan kuchh na tha
saKHt mushkil hai dila phir us ka aana is taraf
warna un murdon mein hai jin ko masiha ne jila
kya hi ji ko bhai hain baaten ye teri ai 'niyaz'
qaul-e-haq to hum samajhte hain miyan tera kaha
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 132)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.