umr jalwon mein basar ho ye zaruri to nahin
'umr jalvoñ meñ basar ho ye zarūrī to nahīñ
har shab ġham kī sahr ho ye zarūrī to nahīñ
chashm-e-sāqī se piyo yā lab-e-sāġhar se piyo
be-ḳhudī āThoñ pahar ho ye zarūrī to nahīñ
niiñd to dard ke bistar pe bhī aa saktī hai
un kī āġhosh meñ sar ho ye zarūrī to nahīñ
shaiḳh karatā to hai masjid meñ ḳhudā ko sajde
us ke sajdoñ meñ asar ho ye zarūrī to nahīñ
sab kī nazroñ meñ ho saaqī ye zarūrī hai magar
sab pe saaqī kī nazar ho ye zarūrī to nahīñ
mai-kashī ke liye ḳhāmosh bharī mahfil meñ
sirf 'ḳhayyām' kā ghar ho ye zarūrī to nahīñ
'umr jalwon mein basar ho ye zaruri to nahin
har shab gham ki sahr ho ye zaruri to nahin
chashm-e-saqi se piyo ya lab-e-saghar se piyo
be-KHudi aaThon pahar ho ye zaruri to nahin
nind to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
un ki aaghosh mein sar ho ye zaruri to nahin
shaiKH karata to hai masjid mein KHuda ko sajde
us ke sajdon mein asar ho ye zaruri to nahin
sab ki nazron mein ho saqi ye zaruri hai magar
sab pe saqi ki nazar ho ye zaruri to nahin
mai-kashi ke liye KHamosh bhari mahfil mein
sirf 'KHayyam' ka ghar ho ye zaruri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.