husn-e-pari ek jalwa-e-mastana hai us ka

husn-e-pari ek jalwa-e-mastana hai us ka
Khwaja Haidar Ali Aatish
MORE BYKhwaja Haidar Ali Aatish
husn-e-parī ik jalva-e-mastāna hai us kā
hoshiyār vahī hai jo ki dīvāna hai us kā
vo shoḳh-nihāñ ganj ke mānind hai us meñ
mā'mūra-e-'ālam jo hai vīrāna hai us kā
dil qasr-e-shahanshāh hai vo shoḳh us meñ shahanshāh
'arsa ye do-'ālam kā jilau-ḳhāna hai us kā
yūsuf nahīñ jo haath lage chand diram se
qīmat jo do-'ālam kī hai bai'āna hai us kā
vo yaad hai us kī jo bhalā de do-jahāñ ko
hālat ko kare ġhair vo yārāna hai us kā
āvārgī-e-nikhat-e-gul se hai ishāra
jaame se jo bāhar hai vo dīvāna hai us kā
ye haal huā us ke faqīroñ se huvaidā
ālūda-e-duniyā jo hai be-gāna hai us kā
shukrāna-e-sāqi-e-azal karatā hai 'ātish'
labrez mai-e-shauq se paimāna hai us kā
husn-e-pari ek jalwa-e-mastana hai us ka
hoshiyar wahi hai jo ki diwana hai us ka
wo shoKH-nihan ganj ke manind hai us mein
ma'mura-e-'alam jo hai virana hai us ka
dil qasr-e-shahanshah hai wo shoKH us mein shahanshah
'arsa ye do-'alam ka jilau-KHana hai us ka
yusuf nahin jo hath lage chand diram se
qimat jo do-'alam ki hai bai'ana hai us ka
wo yaad hai us ki jo bhala de do-jahan ko
haalat ko kare ghair wo yarana hai us ka
aawargi-e-nikhat-e-gul se hai ishaara
jame se jo bahar hai wo diwana hai us ka
ye haal hua us ke faqiron se huwaida
aaluda-e-duniya jo hai be-gana hai us ka
shukrana-e-saqi-e-azal karata hai 'atish'
labrez mai-e-shauq se paimana hai us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.