maqdur hamein kab tere wasfon ke raqam ka
maqdūr hameñ kab tire vasfoñ ke raqam kā
haqqā ki ḳhudā-vand hai tū lauh-o-qalam kā
is masnad-e-izzat pe ki tū jalva-numā hai
kyā taab guzar hove ta.aqqul ke qadam kā
baste haiñ tire saaya meñ sab shaiḳh-o-barhaman
ābād tujhī se to hai ghar dair-o-haram kā
hai ḳhauf agar jī meñ to hai tere ġhazab kā
aur dil meñ bharosa hai to hai tere karam kā
mānind-e-habāb aañkh to ai dard khulī thī
khīñchā na par us bahr meñ arsa koī dam kā
maqdur hamein kab tere wasfon ke raqam ka
haqqa ki KHuda-wand hai tu lauh-o-qalam ka
is masnad-e-izzat pe ki tu jalwa-numa hai
kya tab guzar howe taqqul ke qadam ka
baste hain tere saya mein sab shaiKH-o-barhaman
aabaad tujhi se to hai ghar dair-o-haram ka
hai KHauf agar ji mein to hai tere ghazab ka
aur dil mein bharosa hai to hai tere karam ka
manind-e-habab aankh to ai dard khuli thi
khincha na par us bahr mein arsa koi dam ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.