pahlu mein dil tapan nahin hai
pahlū meñ dil tapāñ nahīñ hai
har chand ki yaañ hai yaañ nahīñ hai
a.alam ho qadīm ḳhvāh hādis
jis dam nahīñ ham jahāñ nahīñ hai
DhūñDhe hai tujhe tamām a.alam
har chand ki tū kahāñ nahīñ hai
anqā kī tarah maiñ kyā batā.ūñ
juz-nām mirā nishāñ nahīñ hai
juuñ sham.a na rāz-e-dil kahūñgā
aisī bhī mirī zabāñ nahīñ hai
va.ade pe ho kyūñki yaañ tasallī
hargiz ye mujhe gumān nahīñ hai
faryād ki 'dard' jab talak maiñ
tayyār huuñ kārvāñ nahīñ hai
pahlu mein dil tapan nahin hai
har chand ki yan hai yan nahin hai
aalam ho qadim KHwah hadis
jis dam nahin hum jahan nahin hai
DhunDhe hai tujhe tamam aalam
har chand ki tu kahan nahin hai
anqa ki tarah main kya bataun
juz-nam mera nishan nahin hai
jun shama na raaz-e-dil kahunga
aisi bhi meri zaban nahin hai
wade pe ho kyunki yan tasalli
hargiz ye mujhe guman nahin hai
faryaad ki 'dard' jab talak main
tayyar hun karwan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.